Sunday, February 26, 2012

भास्कर उत्सव: कवि सम्मेलन - flop show

भास्कर उत्सव: कवि सम्मेलन




जयपुर में दैनिक भास्कर के 15 वर्ष पूरे होने पर भास्कर उत्सव की दूसरी कड़ी में कवि सम्मेलन का आयोजन किया जा रहा है। सम्मेलन में गोपालदास नीरज, सुरेन्द्र शर्मा और अरुण जैमिनी जैसे कवि शिरकत करेंगे।
 
aaj jo sahitya avam kavita premi apne sunday ke saare kaarykram chhodkar bhaskar ke is tathakathit utsav kavi sammelan mai pahunche unhe jitna apmanit bhaskar ke gundo ne aaj kiya utna kavi sammelano ke itihaas mai kisi aayojak sanstha ne nahi kiya hoga.
 
sabhi log paas lekar aaye the aur unhe kaha gaya tha ki 1 paas par do vyakti aa sakte hain. bina kisi saarvajanik ghoshna ke bhaska ke kiraaye ke tattuo ne ek ke saath ek ko hi line mai lagne diya so bahut se yugal aur mitra bina kisi dosh ke apne saathee ke sath bidla auditorium mai ghuse unhe mandir ke baahar thage se apmaanit khade rahe. 6 baadhaaye paarkar jo log bidla sabhaagaar mai ghuse kisi bhi saahitya premi ko sabhaagaar ke ander pravesh nahi diya gayaaur hazaaro log sabhaagar ke darwaajo ke baahr khadedejaate rahe. unmai bahut se hindi ke proffessor, jaane maane hindi premi aur aise log jo shrotaa ke roop mai har kavi sammelan mai janaa apna dharm samajhte hain. jab ye blog lekhak jo lagbhag sabhi aamantrit kaviyo se vyaktigat roop se parichit hai ko in makkaro kee mahfl se uthke aana pad tab kamsekam 75% kursiya sabhaagar ke andar khali thi. 
 
 
 
paav bhar choon aur pul pe rasoi.
_________________________
 
darasal hua ye ki bhaskar ne apne is niji utsav ke liye paathako ko sashart aamnatran diya tha. inke office se paas lo aur uske liye bhaskar ki prati saath laao. bhaskar ka jitna bhi unki is nalayk harkat se hua ho par hindi ka bhaskar ghor andhere mai doob gaya.   
 
mujhe dukh ke saath kahna pad raha hai ki jaipur jaha ke sudhee shrotaao ki aur geet chaandni jaise aayojano ki poore hindi kshetra mai khoob saraahna hoti hai vaha kavita ko in dhanna setho ne sirf dhni aur prabhaavee logo ke liye hi banaa diya hai.